MANGLIK DOSH TATHA USKE PERBHAV
Jyotish anusar kundli mein lagne wale manglik dosh ko manglik karyon ka karan mante huay bada bhayank rup de diya hai jis se striyon ke veyvahik jivan per tatha vevahik sambanhd stapit karne ke karano mein badi badha dikhai de rahi hai.Striyon ke jivan mein hone wali vivah se4 sambandhit gatnayen jaise puner vivah asantulit vivah talak ,vidhwapun sabhi ke karano ke liye mangal ko hi doshi man liya gaya haijo ki ek bharanti hai tatha jyotish ke niyam anusar satya nahin hai.Jivan ki hone wali sabhi ghatnayen jo jyotishia yogon se tatha dashaon ke dwara shubh ya ashubh nirdharit hoti hain na ki mangal ke dwara. Kundli mein mangal dosh na hone per bhi stri ke jivan mein vivah se sambandhit ghatanaian ghatit hongi agar unka yog kundli mein hai to.Etah mangal ko vivah ke sabhi ghatkon ke liyeashubh ya galat keh dena bhranti tatha is samaj ka durbhagya hai. KYA HAI MANGAL KA DOSH Jab jatak ya jatika ki kundli mein lagan dwadesh chaturth saptam tatha ashtam bhav mein mangal hota hai tab kundli...