Posts

Showing posts from October, 2008

Deepawali per LAXMI PUJAN

Namastasyay mahalaxmi namastasyay surysuri Namastasyay haripriya namastasyay dayanidhe Vase to hindu samaj me pritidin koi na koi utsav dekhne ko milta haijo jeevan ke laksh tatha bhai chare ko ve dayitvo ko nibhjate hue jeevan ko anandit karta rehta hai.In pervo mein kuchh mukhya purv is perkar hai--- DIWALI,HOLI,RAKSHA BANDHAN,Bhaiya dooj. In sbhi purvo per charo aur dhoom dham tatha milan ka mahol dikhai deta hai.Lekin depawali ek aisa purv hai jo bhai chare ki bhavna ki vridhi ke sath sath gyan aur veragya tatha bhakti se jodta hai Vese kisi kary ko pura karne ke liye do tatvo ki parm avshyakta hoti hai.Pratham gyan doosra dhan eisi liye deewali per pehlegyan ke devta Ganesh Ji ka pujan kiya jata hai.uske baad dhan ki devi laxmi ka pujan hota hai jis se ki hamara karya jo humne deep jala ker armbh kiya hai gyan v dhan ke dwara pura ho sake. vase hindu darshan ki manyata anusar bhagwan shri RAM(maryada purushottam) ka rajyabhishek isi din hua tha. Bahubali Ravan tatha atyachar per ...