MANGLIK DOSH TATHA USKE PERBHAV

Jyotish anusar kundli mein lagne wale manglik dosh ko manglik karyon ka karan mante huay bada bhayank rup de diya hai jis se striyon ke veyvahik jivan per tatha vevahik sambanhd stapit karne ke karano mein badi badha dikhai de rahi hai.Striyon ke jivan mein hone wali vivah se4 sambandhit gatnayen jaise puner vivah asantulit vivah talak ,vidhwapun sabhi ke karano ke liye mangal ko hi doshi man liya gaya haijo ki ek bharanti hai tatha jyotish ke niyam anusar satya nahin hai.Jivan ki hone wali sabhi ghatnayen jo jyotishia yogon se tatha dashaon ke dwara shubh ya ashubh nirdharit hoti hain na ki mangal ke dwara.
Kundli mein mangal dosh na hone per bhi stri ke jivan mein vivah se sambandhit ghatanaian ghatit hongi agar unka yog kundli mein hai to.Etah mangal ko vivah ke sabhi ghatkon ke liyeashubh ya galat keh dena bhranti tatha is samaj ka durbhagya hai.

KYA HAI MANGAL KA DOSH

Jab jatak ya jatika ki kundli mein lagan dwadesh chaturth saptam tatha ashtam bhav mein mangal hota hai tab kundli mein mangal dosh lagta hai.jisko vivah mein deri tatha astantulit vivah ka karan mana gaya hai.lekin anek bar yeh mangal ke dosh bhang bhi ho jate hain jise mangalik bhang ke naam se jana jata hai tatha mangal dosh samapt ho jata hai.Isi liye yeh avashyak hai ki kundlu milan ke samay yeh dekh liya jaye ki bananevala mangal ka dosh bhang to nahin ho raha hai, bhang walw yogon mein mangal dosh ki shanka karna ek bhram hai.

MANGAL DOSH BHANG

kundli mein lagne wala mangal dosh jyotishey niyamanusar nimn karano se bhang ho jata hai.
1) kundli milan ke samay jyotshi ko lagan chander va nawansh tino hi kundlion mein iski janch ker leni chahiye agar lagan ke baad chander ya nawansh mein yog nahin banta hai to mangal dosh bhang ho jata hai.

2) Lagan chander kundli mein lagne wala manglik dosh mangal ki nawansh mein neechta ya shukr ke nawansh mein jane per samapt ho jata hai.

3) Mangal yadi nawansh kundli mein lagan kundli aur chander kundli mein shubh grihon dwara ya shkr aur guru ke dwara dekha ja raha hai to yeh dosh bhang ho jata hai.

4) kundli ke dwadensh bhav dwitya bhav ya ashtam bhav mein guru chander ki yuti ho to is dosh mein kami aa jati hai.

5) ladki ki kundli mein brihspati apni rashi ya uchh ka hoke ya uchh ke nwansh mein baitha hai tatha ladke ki kundli mein shukr swa rashi swe navansh ya uchhh ka hoke baitha hai to bhi yeh dosh smapt ho jata hai.

6) Yadi magal chadrma ki rashi kark mein ho ya shani ke nawansh mein ho to magalik dosh bhang ho jata hai.

7) ladka ladki kundli milan ke samay jis bhav mein mangal baitha ho dusri kundli meiin shubh grah hon to manglik dosh bhang ho jata hai.

8) ladki ke noan ghar mein swa rashi ya uchh ka guru ho ladke ki kundli mein 9ven ghar mein shukr shubh perbhav mein ho to manglik dosh bhang ho jata hai.

UPAY--MANGLIK DOSH MEIN KYA KAREIN

Sarv pratham kundli ka bhali bhanti jyotish drishti se vichar ker ke yeh dekh lena chahiye ke banne wala manglik dosh bhang to nahi ho raha hai.Bhang hone ki stithi mein koi upay nahi karna chahiye.Agar mangl ka dosh hai to uski shanti hetu nimnlikhit upay karen.

!) ladka ladki dono milan ke samay dono manglik hon to kisi ko bhi upay karne ki zaroorat nahi hai.

2) Agar ladki manglik hai to uske vivah se purv jeevansaathi ki aayu vridhi ke liye tatha sukh samridhi ke liye ghat vivah kervana uchit hota hai.

3) ghat vivah ke alava pipal se vivah ,narayan vivahyeh mangal dosh ki shanti ke upay hain.

4) agar mangal chauthe ghar mein hai ya athvain ghar mein hai to mahamirtunjay mantr ka jaap tatha rudrabhishek dono kaervane chahiye.

5) agar ladka manglik hai to uske mangal shanti hetu kikar adi (kante wale paudhe) ke saath mein shubh mahurat mein vivah karen uske baad vedic vivah karen.

6) lagatar ka hanuman chalisa ka paath karna tatha devi ke ratri sukt evam gauri upasna kernew se bhi purush ki kundli ka mangal dosh bhang hota hai.

7) manglik dosh wale jatakon kop moonga sharirik bhar ke anusaar jyotishiy salah per dharn kerna chahiye.

8) manglik dosh ki shanti hetu lagatar 40 din hanuman chalisa ka paath vivahik prakern ko shubh banata hai.

9) Manglik dosh ki samapti hetu ghar ke ander nav chandi ka paath purush kundli mein mangal dosh ki shanti hetu zayada karak mana gaya hai.

10) Mangal dosh ki shanti evam nidaan 30 saal ke baad (ladki ki kundli mein) tatha 35 saal ke baad ladke ki kundli mein kervana bahut avshyek nahi hai.



Comments

Preeti said…
This comment has been removed by the author.
ankita jaiswal said…
This comment has been removed by the author.
ankita jaiswal said…
This is a great article. You make a lot of sense and I agree with many of your views. I don’t disagree with anything you have written, but some of this really has me thinking.

http://astrobix.com/astrosight

Thanks and regards

Ankita
Unknown said…
Manglik dosh or mangal dosha is much talked about topic in Indian society and manglik dosha analysis is the integral part of the horoscope matching process before marriage.manglik dosh
Unknown said…
How can I get a consultation from you?
Unknown said…
How can I get a consultation from you?
Unknown said…
mere kundli me mangal lagn se chauthe bhag me aur chandra se 12 ve bhag me baitha he.............

mere ko kya uoay krni chahie
stsush said…
Thank you...This is Awesome tips you have given for cancellation of manglik dosha.
Online Kundali Matching
Manglik Kundali Matching

Manglik non manglik marriage solution - Mangal dosha is one of the major deciding factor in Hindu marriages. A manglik marrying a non-manglik is considered disastrous which can even lead to death of one's partner. Are you manglik and looking for solution? Do you have mangal dosha in your horoscope/kundali? Use our mangal dosha calculator to check the presence of manglik dosh in your birth chart. Vedicastroyug offers all kinds of services and solutions for manglik dosh online in Delhi NCR. For more visit: astrologer in Delhi NCR

Popular posts from this blog

विवाहिक बिलब को दूर करता है जानकी मंगल या पारवती मंगल का पाठ

दत्तक पुत्र

uch nivas nich kartuti