Jivan ke niranter bhatakte kadam

hamare sabhi dharam granthon v sad granthon mein manviay jivan ko anmol mana gaya hai.
sabhi kamnaon ko purn karne wala tatha sabhi sadhano ko dene wala kaha jata hai is manviay jivan ko.
manushay jivan paker moksh jaisi stithi jiske liye devta bhi traste rehte hain manav jivan mein sahjta se hi mil jati hai isi liye devtaon se bhi bada kaha gaya hain is prithvike manavko.ram chrit manas ke rachita goswami tulsi das ji ne manushay ko bhagaywan batate huay yeh sapasht ker diya hai

ki bade bhagay manas tan pawa
sur durlabh saad dranthan gava
sadhan daam moksh ker dawara
tahe pahe per lok sawara Artarth manav sharir ko paker kuchh bhi durlabh nahi hai.sabhi sadhan sulabh hain.manav sharir ko paker aise sabhi dharamavlambiyon tatha kai manavendra kaal se rishi tatha muniyon ka kehna hai lekin yadi itne pavan sharir ko pa ker apne udyeshyon se bhatak jaye to bade ashcharay ki baat hai.Ajj ke samay mein jivan mein niranter badti vyastata tatha naitik vihinta eavam sanskaron ki panapti kamjori ajj ke yuva manav ko manavta ke udyeshey se bhtka ker aise chowrahey per khada ker deti hai jahan se uuse apne jivan ka koi bhi rasta nazar nahi aata hai.
phal swaroop ajj ka yuva verg apne udyeshay se bhatak jata hai.
Jo adhunik samay mein niranter badate huay kadamon ke roop mein dekhne ko mil raha hai.
Shiksha evam parivar mein ajj niranter naitik sanskaron ki kamjori ke karan yuva evam vidyarthi samaj udyesh vihinta v atam kamjori ke karan atamdah jaisi balivedi per chadte ja rahein hai.
Jo apne jivan mein udyesh se bhatkav hai.
Dusari aur yadi hum vichare to rashtra mein niranter panapti videshi sabhyata v sanskar kuchh haad tak bhatkane mein madadgar ho rahein hain.
Palswarup vidyarthi jivan per iska adhik badta hua asar dekhne ko mil raha hai.
Yadyapi hamara udyesh kisi dhram ya shiksha ka ninda karna udyesh nahi hai mein is nibandh ke madyaam se un tatvon ki alochna karna chahta hun jo kisi dhram tatha shiksha ke mul bhoot bindu nahi hain lekin samaj mein unke badte kadam vidyarthi jivan mein bhi ghatak ban gaye hain.
Ek anokhi vishmta paida ho rahi hai.evam jinka samaj se vidyarthi jivan ke hit evam manav kalyan dono ke kiye avashyak hai.Yadi hum gambhir roop se vichar karein to sarkar ko bhi is aur kadam uthane chahiye jis se ki yuva pidhi apne naye ayamo per chal ker desh tatha samaj ko ek aisi nayi dasha de sakein jiski rashtr ko hi nahi balki puraey vishaw ko zaroorat hai.Yadi aj ka yuva samaj aur vidyarthi apne jivan ke mulbhut udyashey jo jine ki kala sikhlate hain ko jan jayein to unke nirashmay jivan ki visham paristithiyon mein ek anokha kaam kareingi tatha utsahvardhak shiksha de ker unhe hanuman ji ke bal ki yaad dilayenji.jis se veh apne mulbhut jivan ke udyeshyon per ker rashtr tatha samaj dono ke ujwaal bhavishay karne mein safal tatha sadhan yukt honge.

Comments

Unknown said…
Hi ...this is valuable post..i guess if you write them in devanagari fonts it will become more useful...please add me in your gtalk
here

radicalethos at gmail dot com

Popular posts from this blog

विवाहिक बिलब को दूर करता है जानकी मंगल या पारवती मंगल का पाठ

दत्तक पुत्र

uch nivas nich kartuti