Posts

Showing posts from November, 2008

MANGLIK DOSH TATHA USKE PERBHAV

Jyotish anusar kundli mein lagne wale manglik dosh ko manglik karyon ka karan mante huay bada bhayank rup de diya hai jis se striyon ke veyvahik jivan per tatha vevahik sambanhd stapit karne ke karano mein badi badha dikhai de rahi hai.Striyon ke jivan mein hone wali vivah se4 sambandhit gatnayen jaise puner vivah asantulit vivah talak ,vidhwapun sabhi ke karano ke liye mangal ko hi doshi man liya gaya haijo ki ek bharanti hai tatha jyotish ke niyam anusar satya nahin hai.Jivan ki hone wali sabhi ghatnayen jo jyotishia yogon se tatha dashaon ke dwara shubh ya ashubh nirdharit hoti hain na ki mangal ke dwara. Kundli mein mangal dosh na hone per bhi stri ke jivan mein vivah se sambandhit ghatanaian ghatit hongi agar unka yog kundli mein hai to.Etah mangal ko vivah ke sabhi ghatkon ke liyeashubh ya galat keh dena bhranti tatha is samaj ka durbhagya hai. KYA HAI MANGAL KA DOSH Jab jatak ya jatika ki kundli mein lagan dwadesh chaturth saptam tatha ashtam bhav mein mangal hota hai tab kundli

SHANI KI SADESATI AUR US KE PERBHAV

Nilamujsamabhasum raviputram yamagrjam Chhayamartandsambhutam shanicharaye namayam Aj shani ki sade sati ke perbhav ka galat ashrey laga ker manushy bada bhaybhit hai tatha adhunik jyotisho dwara iske perbhav ko galat rup mein batla ker manushy ko draya bhi ja raha hai.Jis semanviy jivan mein shani va uske perbhav vardan tulya hote hue bhi abhishap tatha kasht dayi karano ke liye jane jate hain,jab ki aisa hai nahi hain. Aj jivan ke her sukh dukh ki paristithi mein jahan utar chadaw atte hain shani ki sade sati ko utar va dukhon ka karan mana jata hai.jo purntaya galat hai etah jyotish mein yeh janaana avshyek hai ki shani ki sade sati kya hai tatha uske manviy jivan per kya perbhav hote hain jis se ki jivan ki her dayniy paristithi mein shani ko dukhon ka karan man ker na kosa jaye kyun ki hindu vedic jyotish anusar perteyak perkar ke sukh va dukh jo manush ko bhogne padte hain purv kiye gaye karm hi hain ,vo chahe is janam ke hon ya purv janam ke. jiska parinam samay ane per jyotish

Guru ke makr rashi mein praveshik parbhav

9 December ko guru apni dhanu rashi mein 30 degree purn ker lega tatha agli rashi Makr mein 10 december se sanchar karega. Azad bharat ki kundli per vichar kiya jaye to shani 9vesh v 10vesh banta hai.navan bhav desh ka bhvishay hai tatha 10va bhag desh ka kary shetra Lok sabha adi hai etah guru ka rashi parivartan bharat ke bhvishay ko ujwaal karega.nayayik vayvasta ko majbut tatha rajnitik gatividhi mein ek sthayitav bhav ka sanchar karega. Lekin guru ka shani ki rashi mein jana samajik bodhitav ki kamjori tatha rashtr v netik maryada ki kamjori ka karan banega.Gunda tantanter ki rajniti per nayayalay dwara ankush lagega. Jiska perbhav desh ka pertek nagrik july ke baad dekhega. Antrik kaleh badegi(10 december) phir bhi court ke nirdeshon per desh ki antrik bigadi hui vayavastha per niyantran hoga tatha prashasan ko safalta milegi. Guru ka makr rashi mein parivartan se samaj mein naitik vyavasta kamjor hogi kyun ki makr rashi guru ki neech rashi hai.dfharam acharan naitik maryada puja

Jivan ke niranter bhatakte kadam

hamare sabhi dharam granthon v sad granthon mein manviay jivan ko anmol mana gaya hai. sabhi kamnaon ko purn karne wala tatha sabhi sadhano ko dene wala kaha jata hai is manviay jivan ko. manushay jivan paker moksh jaisi stithi jiske liye devta bhi traste rehte hain manav jivan mein sahjta se hi mil jati hai isi liye devtaon se bhi bada kaha gaya hain is prithvike manavko.ram chrit manas ke rachita goswami tulsi das ji ne manushay ko bhagaywan batate huay yeh sapasht ker diya hai ki bade bhagay manas tan pawa sur durlabh saad dranthan gava sadhan daam moksh ker dawara tahe pahe per lok sawara Artarth manav sharir ko paker kuchh bhi durlabh nahi hai.sabhi sadhan sulabh hain.manav sharir ko paker aise sabhi dharamavlambiyon tatha kai manavendra kaal se rishi tatha muniyon ka kehna hai lekin yadi itne pavan sharir ko pa ker apne udyeshyon se bhatak jaye to bade ashcharay ki baat hai.Ajj ke samay mein jivan mein niranter badti vyastata tatha naitik vihinta eavam sanskaron ki

Ashirvachan

Ashirvachan mile apke,bhav se paar ho yeh naiya Jivan ke har pal mein,tera saath ho mere bhaiya Meet bane jivan ke dono aisa ek ehsas ho, surya ki prakharta mile na mile RAKESH RENU ji ka saath ho phiur sahyog ho ye aisa sakr bhi sharmaye meeton ki dekh preeti chandni bhi dhokha khaey Jivan ke her pal mein tera anubhav mera saath ho sukh dukh ke her pal mein RAKESH ka hi prakash ho