Deepawali per LAXMI PUJAN

Namastasyay mahalaxmi namastasyay surysuri
Namastasyay haripriya namastasyay dayanidhe

Vase to hindu samaj me pritidin koi na koi utsav dekhne ko milta haijo jeevan ke laksh tatha bhai chare ko ve dayitvo ko nibhjate hue jeevan ko anandit karta rehta hai.In pervo mein kuchh mukhya purv is perkar hai---
DIWALI,HOLI,RAKSHA BANDHAN,Bhaiya dooj. In sbhi purvo per charo aur dhoom dham tatha milan ka mahol dikhai deta hai.Lekin depawali ek aisa purv hai jo bhai chare ki bhavna ki vridhi ke sath sath gyan aur veragya tatha bhakti se jodta hai
Vese kisi kary ko pura karne ke liye do tatvo ki parm avshyakta hoti hai.Pratham gyan doosra dhan eisi liye deewali per pehlegyan ke devta Ganesh Ji ka pujan kiya jata hai.uske baad dhan ki devi laxmi ka pujan hota hai jis se ki hamara karya jo humne deep jala ker armbh kiya hai gyan v dhan ke dwara pura ho sake.
vase hindu darshan ki manyata anusar bhagwan shri RAM(maryada purushottam) ka rajyabhishek isi din hua tha.
Bahubali Ravan tatha atyachar per vijay prapt karne ke baad bhagwan shri RaM ko jab ye raj milato prithvi ke logon ne deep jala ker khushian manate hue is naye rajya ke swabhiman ki akhndta hetuprarthna ki tatha khushian manayi. evam nayay sangat vyvsta ke rup mein naye kary ka shubharm kiya.
LAXMI PUJAN kaise karen
Ab prashn ye uthta hai ki diwali jaisa shrdhdha tatha vishwaspuran purv jahan aj ke samay kewal mithaiyan batane tath patake tak simit reh gaya hai.Is parv per matr hindu samaj ki aupcharikta hi reh gayi hai tatha yeh parv anek rudi vadtta tatha andhvishwason ke ghere mein aa gaya hai.Vaise jyotish anusaar diwali sabse baada abhijit mahuraat mana jata hai.Is din kiya gaya koi kary vidhan hamein nishchayi safalta deta hai.Etah is din hamein dhan ki devi laxmi tatha gyan ke devta Ganesh ji ka pujan nimnvat is prakar karna chahiye.
sarv pratham achal evam chal sampatiyon ko dene wali ma bhawati ki nutan prtima laker ek chowki per kapda bichha ker uttar ya purab mein sthapit karen tatha us kapde per keasr v chandan se asht dal kamal bana ker maa bhagwati ke cherno mein apne ghar ki dhan sampda aadi arpit karen. Devi ke bayeen aur vighan vinashak amanglon ke harne wale bhagwan Ganesh ji ki sthapna karen.Iske baad snan aachmamn aadi se nivrit ho ker uttar ya purv mukh beth ker bhagwan shri Hari Ya apne guru ka dhyan karen.
iske baad asht siddhiyan dene wali tatha noan siddhiyan dene wali maa bhagwati ka pujan ka sankalap karen.
sankalp :OM VISHNUE NAMAH,MAHALAXMIA NAMAH,SHRI GANESHAYE NAMAH,SHWATA RAHU KALPE,BEBAS MANAVYANTRE,KALYUGE,PRATHAM CHARNEA
JAMBO DEEEPE,BHARAT KHANDE,ARYA VARTANG NAM DESE,KARTIK MASE KRISHAN PAKSHE,AMAVASYA NAAM,PUNYA TITHE,SAMVAT 2065 SAKA 1930 AMUK NAAAMAM
SAPUTRAM,AMOK GOTRAM,AMOK RISHI NAAM ANAM, TASYA SHUBH AVSARE YATHA GRIHVALAM MAHALAXMI ASTH SIDDH DATRI,NAO NIDHI DATRI,MAHALAXMISEY PUJANAM PARIVAR SAVMITR JAN SAHYOGAY YATHA SHAKTI PUJANAM KARSATE GANESHA DEVTA SANKALP KARSYETE

sankalp karne ke baad Ganesh ji ka riddhi siddhi se gyan karen tatha panch upchaar se ya yatha labdhoupchar se ya shodas upchar se pujan karen.
Ganesh pujan ke baad isi upchar se Kalash pujan karen.pujan se pehle kalash ko Ishan dash(North east) mein hi sathapit karna chahiye.ya phir uttar mein hi sathapit kiya ja sakta hai.
kalash pujan ke baad mein bhagwan Shiv V Parvati ji ka pujan tatha OMKAR pujan karen, iske baad MAhalaxmi ka bhagwan shri NARAIN ji ke saath avahan tatha pujan karen evam shringar ki vaastuain bhi bhet karen.devi ke pujan ke baad mein roli kum kum yukt chawal se apne angon ka pujan karen
OM CHAPLAYE NAMAH PAERON KA PUJAN KAREN
OM NCHLAYE NAMAH,JANGHON KA PUJAN KAREN
OM KAMALAYE NAMAH KAMAR KA PUJAN KAREN
OM KATYAEY NAMAH NABHI PUJAN KAREN
OM JAGANMATRE NAMAH PAET KA PUJAN KAREN
OM VISHAVVALBHAYEY NAMAH CHHATI KA PUJAN KAREN
OM KAMALVASINEYEY NAMAH HATHON KA PUJAN KAREN
OM PADNAYE NAMAH MUKH PUJAN KAREN
OM KAMALPATRAKSHIYE NAMAH NETRON KA PUJAN KAREN
OM SHRIYE NAMAH SEIR KA PUJAN KAREN
OM MAHALAXMIYE NAMAH SARVANG KA PUJAN KAREN

iske baads asht sidhhi pujan karen uske liye kum kum yukt chawasl devi ki prtima ke paas aath dashaon mein chhoden
OM ANEIMANE NAMAH PURAB
OM MAHIMANE NAMAH AGNEY KONE (DAKSHIN PURAB)
OM GARVANE NAMAH DAKSHIN
OM LAGMANE NAMAH NETITEY(PASHCHIMDAKSHIN)
OM PRAPTE NAMAH PASHCHIM
OM PRAKERME NAMAH VYAVAY(UTTARPASHCHIM)
OM ISHTAYE NAMAH UTTAR
OM VASTAYE NAMAH ISHAN(UTTAR PURAB)

ISKE BAAD ASHT LAXMI PUJAN IS PERKAR KAREN
Laxmi ki murti ki aton dashaon mein kumkum yukt chawal avam pushp lekar aton sidhhion ka is perkar dhyan karte huaen pujan karen.
OM AD LAXMAY NAMAH
OM vidya LAXMAY NAMAH
OM soubhagay LAXMAY NAMAH
OM amrit LAXMAY NAMAH
OM kaam LAXMAY NAMAH
OM sapt LAXMAY NAMAH
OM bhog LAXMAY NAMAH
OM yog LAXMAY NAMAH

Is perkar asht laxmi pujan ke baad mahalaxmi ko dhoop aur deep ke darshan karaen tatha neved(sweets) arpit karen
Iske baad devi ke haath mein chandan lagaay tatha achman ke liye jal de va fruit chdaye.Ab PAAN ka patta arpit karen.devi ke charno mein ab paise chdain.
Ma bhagwati ki arti karen tatha apne papon ke naash ke liye pradakshina tatha prarthna karen.LAXMI pujan pashchat
ghar ki dehlij per swastik banaker dehli vinayak ka pujan karen.
Apne khate ko likhne wali syahi ka Ma Kali ke rup mein pujan karen evam lekhni ka pujan Maa saraswati ke rup mein karen iske baad kisi thali mein kesar yukt chandan va roli se swastik bana ker panch gathein haldi dhania kamal gatha akchhat(chawal) va ghass rakh ker sraswati ka dhyan karte huae punjika (BAHI_KHATA) ka pujan karen.
Iske baad kuber ji dhyan va pujan karen tatha haldi,dhniya,kamal gatta evam grass va paisa tijori mein rakhein tatha traju per sindur se swastik bana ker maan samman hetu pujan karen
Phir dipak ka pujan karen tatha devi ki pradhan aarti karen.
tatpashchat pushpanjli arpit ker shama prarthna karen.
Iske baad MAA laxmi ko shashtang pranam ker shudh jal se apne haath dhoen va sankirtan karen.

DIWALI: vaastu shastr ke upay

Dhanki devi laxmi ka intzaar sabhi besabri se karte hein.laxmi ke abhav mein manaviy jivan saarvihin tatha tuchh ban jata hai.etah diwali per kuchh aise upay hain jin per amal karne se tatha apne vastvik jiwan mein utarne se dhan ki devi mahalaxmi ki kirpa va saraasta hamare jivan ko saral va suder banane hetu bani reh sakti hai.
1) Diwali wale din subah jaldi uath ker uttar dasha ko mukh ker ke 
OM MAHALAXMI NAMASTATE mantr se devi ko pranam karna chahiay iske baad dono haath pure sharir per faerne chahiay .
2) Laxmi ki nayi murti shri HARI ke sath virajman ho khridni chahiey.Use uttar ya NE mein puja hetu sthapit karna chahiyey.
3)Jo bhi pakwan bane uska ek hissa Goseva mein de.Grihswami ko gograss dene ke baad va badon ka ashirwad le ker hi bhojan karna chahiye.
4)pratehkal uath ker sabhi badon,pandit,gurujan ka ashirwad lena chahiyey.
5)pujan agar sambhav ho 4.40PM se 5.29PM godhuli kal mein ker lena chahiyey.
6)prateh snan adi se nivrit ho ker sunder va swachchh vastr pehne,ghar saaf rakhein.North side doors ko vishesh sajawat karen
7)MAA laxmi shanti priyeye hai etah shant rahiye sabhi perkar ke vysanon se duor rehte huai prasaanchit awastha meinatithion ka samman karein
8) Yadi ratri ya sandhya ke samay jab pujan karen to devi laxmi ke chrno mein kamal ka phool,kamal gattha,hakeek tatha shriyantr chdhana na bhulein.
9) jab app shri yantr pujan karein to use panchamrit snanan ke baad chandan va kesar se lepan avashya karen
10) shri yantr ko laxmi ji ke chrno mein rakh ker 
OM CHANCHLAY NAMAH
OM CHPLAY NAMAH
kisi ek mantr ka 108 bar jap karen
diwali pujan ke baad mein jab app tijori ka pujan karen to usme kodian haldi yukt chawal evam kuchh namak.avshay rakhen
tijori banwane se pehle yeh dhyan rakhna avshyak hai ki tijori wood ya lohe ki bani ho evam yellow colour se painted ho.Iske elawa kagaj ya plastic ki tijori ka vidhan nahi hai
11)diwali pujan mein laxmi ke liye LAL rangt ke pushp priay hain ,iske sath saath shriphal laxmi ke chrno mein chdhana apki manokamnay purn karta hai.
13) yadi shri phal ek akshiyey ho to app ke liye vishesh safalta dega.
14) laxmi pujan ke baad app tijoriopn mein dhan adi sthapit karne se pehle pile raag ka vastr jis per swastik evam devi ka sakti chinh bana ho bichhaen uske baad dhan adi rakhein.

















Comments

SaiHealYourLife said…
Posting it is very needed because every human being today want this information. Keep it up. Good luck and thanks for posting Vaastu Shastra in Bangalore | Vaastu Shastra in India

Popular posts from this blog

विवाहिक बिलब को दूर करता है जानकी मंगल या पारवती मंगल का पाठ

दत्तक पुत्र

uch nivas nich kartuti